Tuesday, 25 June 2013

JIWAN kya hai??

JIWAN kya hai??


(aaj 26 june mai 5.30 baje subah main gandhinagar station ,jaipur pohocha, yaha se duble dec 12985 se delhi ja raha hu, barbas hi mann me aya ke jiwan aur uske bhavarth ke bare me kuch likhne ka prayas karu, lets see, agar thik naa lageto kshma karyega)



jiwan ek adhyay hai
wo adhayay jise padhna utna hi zaruri hai jitna irsh ko samajhna,
jiske bhavarth ko samajhne me kabhi kbhi ye khud hi khtm ho jata hai
ratne se zyada zaruri hai, iske marm ko atmasaat karna
jisne is adhyay ko jaldi padh liya wo gyani, jisne der ki wo murakh.


jiwan ek abhao hai
ek kabhi naa khatam hone wala abhao
ek aisa abhao jise dhan se pura nai kar sakte
ek matra aisa abhao jise gyan se pura kiya ja sakta hai shyad
gyan uske rikta sthan ko bharne ka
jisne is rikta sthan ko bhar diya wo gyani jo chuta wo murakh.


jiwan ek lalkar hai
wo lalkarta hai ki age badho aur disha chuno
simit kalo khud ko brands aur labels me
ya niklo in sab se aur tut paro apne dyayiton par
asan kar do use ya phas jao swajanit samasyaon me
kud pado maya me madhu me aur madya me
ya utro dhire dhire vijay ko paribhasit karne
jisne is lalkar ko samajh liya wo gyani jo dhambh bhara wo murakh


jiwan ek swadhay hai
ye nirbhar hai atma ki awaz per
iski awaj ko jitna suno wo utni hi wrihad hoti jati hai,
aur jina ansuna karo utni hi adhuri reh jati hai
jisne jitna jaldi suna wo gyani jo naa sun paye wo murakh.



jiwan ek zimmedari hai
zimmedari apne samaj,pariwar aur khud ke prati
uske bhi prati jisne bheja hai hume yahan
us rastra ke prati jiski chardiwari me hum rehte hai
us pariwaar ke prati jisne hume wajood diya hai
us samaj ke prati jisne hume adim se manaw banaya
jisne is zimme ko utha liya wo gyani jo bhaga wo murakh



jiwan ek ubujh paheli hai
jo ek pal kathin hai ek pal asan
itni kathin jiska hal dudhne me kai baar jiwan nikal jata hai
itni asan ke kai baar iske age 2 aur 2 ka jod batana kathin ho jata hai
jisne atma chintan se hal kar liya wo gyani baki sab murakh



jiwan ek daud hai
kabhi andhi kabhi surya si  spasta
ek daud jo glamour ko pakadne ki bhi hai
moksha ko prapt karne ki bhi
ek daud jo safalta ke chram per pohochne ki bhi hai
aur usse aage aur aage jane ki bhi
jo sahi disha me dauda wo gyani
jo galat disha ki oor badha wo murakh



to sawal ye hai jiwan kya hai
kya hai uski bhasa aur paribhasha
adhayay hai ya abhao
swadhyay hai ya zimmedari
ya hai koi lalkaar jo chitkar rahi hai humare sammukh
paheli hai ya ek andhi daud


asal me jiwan in sabka sankalan hai
jisne jitna jaldi iska sankalan karna ho wo kar le
kyuki jiwan chal raha hai pure waig se
us ghadi ki tarah jiska cell kabhi khatam nai hota . . .


                                                                                                                            jiwan kabhi naa rukne wali ghadi hai shyad.................

No comments:

Post a Comment